saare jahaa.N se achchhaa hindustaan hamaaraa
ham bul_bule.n hai.n is kii ye gulistaa.N hamaaraa
Gurbat me.n ho.n agar ham rahataa hai dil vatan me.n
samajho vahii.n hame.n bhii dil ho jahaa.N hamaaraa
parvat vo sab se uu.Nchaa ham_saayaa aasmaa.N kaa
vo santarii hamaaraa vo paasabaa.N hamaaraa
godii me.n khelatii hai.n is kii hazaaro.n nadiyaa.N
gulshan hai jin ke dam se rashk-e-janaa.N hamaaraa
ai aab-e-ruud-e-gangaa vo din hai yaad tujh ko
utaraa tere kinaare jab kaaravaa.N hamaaraa
mazhab nahii.n sikhaataa aapas me.n bair rakhanaa
hindii hai.n ham vatan hai hindustaa.N hamaaraa
yuunaan -o-mishr-o-romaa sab miT gaye jahaa.N se
ab tak magar hai baaqii naam-o-nishaa.N hamaaraa
kuchh baat hai ki hastii miTatii nahii.n hamaarii
sadiyo rahaa hai duhman daur-e-zamaa.N hamaaraa
'Iqbal' ko_ii maharam apanaa nahii.n jahaa.N me.n
maaluum kyaa kisii ko dard-e-nihaa.N hamaaraa |