Poetry List
-------------------------------------------------------------------------------------------------
us shaam vo ruKhsat kaa samaa.N yaad rahegaa
-------------------------------------------------------------------------------------------------

us shaam vo ruKhsat kaa samaa.N yaad rahegaa
vo shahar vo kuuchaa vo makaa.N yaad rahegaa

vo Tiis ki ubharii thii idhar yaad rahegii
vo dard ke uThaa thaa yahaa.N yaad rahegaa

ham shauq ke shole kii lapak bhuul jaaye.nge
vo shamaa-e-fasurdaa kaa dhuaa.N yaad rahegaa

kuchh miir ke abyaat the kuchh faiz ke misare
ik dard kaa thaa jin me.n bayaa.N yaad rahegaa

jaa.N baKhsh sii thii us gul_barg kii taraavaat
vo lams-e-aziiz-e-do-jahaa.N yaad rahegaa

ham bhuul sake hai.n na tujhe bhuul sake.nge
tuu yaad rahegaa hame.n haa.N yaad rahegaa

    





 
           
Hindi Music Bollywood Songs Friendship SMS Hindi Song Lyrics Mobile Ringtones
My Zimbio
Preview on Feedage: hindi-mp3-songs-download-hindi-songs-hindi-music-download-bollywood-movie-songs
Old Hindi Songs Hindi Ghazals Flirt SMS Celebrity Photos Radio Channels
English Songs Pakistani Pop Songs Brithday SMS Celebrity Biography TV Channels
Indian Songs Tamil Songs Pathan Jokes Free Games Bollywood News
Pakistani Songs Telugu Songs Sardar Jokes Free Love Meter Movie Reviews
Wedding Songs Song Videos Flirt Jokes Free Image Hosting  
   Copyright © 2012 SongsInn.com. All Rights Reserved. Privacy Policy
Website Designed & Developed by TechXprtz