kon kehta hai shararat se tumein dekhtey hain
jaan e man ham to mohabbat se tumhein dekhtey hain
tum ko maaloom nahi tum ho muqaddas kitney
dekhtey hain to aqeedat se tumhein dekhtey hain
dekh ke tum ko kissi aor ki yad aati hai
ham kissi aor hi nisbat se tumhein dekhtey hain
sath ghairon ke nazar aao to gi kuRhta hai
kya kahein kaisi aziyyat se tumhein dekhtey hain
jhonkni paRti hai ye jaan azaabon mai hamein
kon kehta hai sahoolat se tumhein dekhtey hain
jaaney kya likhtey ho kya sochtey rehtey ho wasi
raat ko jab bhi kabhi chatt se tumhein dekhtey hain
wasi shah
Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay
k ashq rokna tum se mohaal hona hay
har aik laab pe hay meri wafa k afsanay
tere sitaam ko abhi lazawal hona hay
tumhain khabar hi nahin tum to loot jao gay
tumharay hijar main ik lamha bhi sal hona hay
humari rooh pe jaab bhi azaab utrain hay
tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay
kabhi to roye ga woh bhi kisi ki bhahoon main
kabhi to us ki hansi ko zawal hona hay
milay gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan
baas intizaar hay kaab yeh kamal hona hay
har shaks chalay ga humari rahoon per
mohabatoon main humahin woh misaal hona hay
Zamana jis k kham-o-peech main olajh jaye
humari zaat ko aisa sawal hona hay
Wasi" yaqeen hay mujh ko woh lout aye ga
usay bhi apne kiye ka malal hona hay